GOONJ RAHA HAI DIL MEIN NA'JAANE KAB SE TUMHARA
NAAM
AAO RASTA DEKH RAHI HAI GEHRI NEELI SHAAM
BADAL, PERBAT, JHEEL, PARINDAY, JHARNAY, PHOOL,
HAWA
POOCH RAHE HAIN YEH SAB MUJH SE TUM AAO GAY
KYA?
INN KI UMEEDEIN, MERE SAPNE HONE NA DO NA'KAAM
AAO RASTA DEKH RAHI HAI GEHRI NEELI SHAAM
SER KO JHUKAYE PAER KHARE HAIN, GUMSUM HAIN
RAHEIN
MAIN HOON, GHUM HAI, TANHAYI HAI AUR THUNDI
AAHEIN
AB AA JAO HONE NAHI DO PYAR KA YEH ANJAAM
AAO RASTA DEKH RAHI HAI GEHRI NEELI SHAAM
Kuch door humare saath chalo hum dil kee kahaani keh
deinge
Samjhe na jise tum aankhon se woh baat zubaani keh
deinge
Phoolon kee tarhan jab honton pe ik shokh tabasum
bikharegaa
Dheeray se tumhare kano mein ek baat puraani keh
deinge!
Izhaar-e-wafaa tum kiya jano iqraar-e-wafaa tum kiya
jano
Hum zikar karenge gairon kaa aur apni kahaani keh
deinge
Mausam tu baraa hee zaalim hai toofan uthaata rehta
hai
Kuch log magar is hel-chal ko bud-mast jawaani keh
dainge
Band Dareechey, sooni Galyaan an-dekhey anjaney log
kis nagri mai aa nikley hein Hum jesay Deewaney log
<<~!~>> <<~!~>>
Ek Hum hi Na-Waqif there Roop nagar ki Galyon se
Bhess badal kar milney waley sab janey pehchaney log
<<~!~>> <<~!~>>
Din ko Raat kahein so Barhaq, Subha ko Shaam kahein
so khoob
Aap ki Baat ka kehna hi kya, Aap hoye Farzaney log
<<~!~>> <<~!~>>
Shikwa kya aur kesi Shikayat, Aakhir kuch Bunyad to
ho
Tum per Mera haq hi kya hai, Hum there Beganey log
<<~!~>> <<~!~>>
Shehar kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta
hai
Aur boht se mil jayein gay, Huim jaisey Deewaney log
<<~!~>> <<~!~>>
Suna hai usske Ahd-e-wafa mai Hawa bhi Muft nahin
milti
un Galyon mai har har Saans pe bhartey hein jurmaney
Tumharay raah badalney ki baat kis se karon
mein apnay khawb bikharnay ki baat ki...s se karon
abhi wo jaan-e-ghazal duur hai nighahon se
abhi mein jaan se guzernay ki baat kis se karon
abhi to hijer ki taarikiyaan hain chaaron taraf
abhi mein chand nikalnay ki baat kis se karon
abhi to apnay ghamo se nidhaal hain sabhi
abhi mein teray bicharney ki baat kis se karon
kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baki hai,
ik dil tha so wo toot gaya...
ab lutnay ko kiya baki hai,
ik shakhs ko hum ne chaha tha,
kuch rait per naksh banaya tha,
wo rait to kab ki bikhar gai,
wo naksh kahan ab baki hai,
ab kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baki hai,
wo jin ko hum apni nazmoun ka,
unwan banaya kartay thay,
wo lafzoun ka bana kar taj mehal,
kaghaz per sajaya kartay thay,
wo hum ko aikala chor gaya,
ab chornay ko kiya baki hai,
ab kiya likhain is kaghaz per,
ab likhnay ko kiya baqi hai……… !! <~>
ReMeMbEr Me iN yoUr PrAyErZ
(¨`•.•´¨) Always
`•.¸(¨`•.•´¨) Keep
(¨`•.•´¨)¸.•´ Smiling!!
`•.¸.•´
Zahid Malik´¨)
¸ •´ ¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•* ???...??
iilllKhAmOsH_ZiNdGilllii- 03445697812
No comments:
Post a Comment