Friday, May 13, 2011

khamosh 3
















teri sanson main gulabon ki mehak lgti hai
husnain jis rang main ho teri jalak lagti hai


sham hote hi nighaon main utar aate ho
dil ki dharkan tere pairon ki khanak lagti hai


jese guzra ho abi tu mere darwazy se 
ab hawa b teri payal ki khanak lagti hai


kisi barish k baraste hi jo ghir aati hai
teri ankhon main wo rangon ki dhanak lgti ha


jane kyon hr wo shaksh muje acha lagta hai
jis k chehre pe zara teri jhalak lagti hai


 
 heartbeat 







dekha na tha tuje to teri aarzoo na thi 


tuje dekhte hi tere talabgar hogaye





NA JANAY KYON MERA KAJAL 
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN AAB 
AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON
 

TUM TO JANTAY HO IN DINO 
BUHAT HI THAND HOTI HAI 
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK 
MEIN ROI TO NAHI HOON 


KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA 
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO 
MEIN ROI TO NAHI HOON


NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN 
ZIYADA KAM KARNAY SAY 
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON
 

EID AEI HAI, WOH AAB BHI 
NAHI AATA TO NA AYE 
AB US KI YAAD MEIN DEKHO 
MEIN ROI TO NAHI HOON


BATA DAYNA US KO JA KAR 
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY 
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN 
MEIN ROI TO NAHI HOON !!!!









Qasmein khate the kabhi saath mein chalne ke liye
Ab haiN beechen alag rah nikalne ke liye


Wo to nazuk hai ke chandni meiN jhulse hai
MeiN musafir hooN kaDi dhoop meiN chalne ke liye


PalkeN bichhaye teri raah meiN din guzra
Ab to aaja ke chali sham bhi Dhalne ke liye


Ek arse se hooN shamma bujhaye huye
Dil ko chhoDa hai teri yaad meiN jalne ke liye


Teemardari to mulahja ho qadar danooN ki
Teyyar rakha hai namak zakhmoN pe malne ke liye


Ab chaman ko khizaoN ki zaroorat kya hai
Khud baghbaaN nikla hai kaliyoN ko kuchalne ke liye


Gulab samjha tha meiN nishani-e-muhabbat
Woy eh samjhe ke diya phool masalne ke liye










 
 heartbeat 

No comments:

Post a Comment