kabi kuch soch kar likha kabi kuch soch kar parna
ye namumkin c koshish hai muhabat soch kar karna
kisi ka dil ruba chehra or us pe dil ruba ankhain
k jis ko dekh kar jeena usi ko dekh kar marna
ye namumkin c koshish hai muhabat soch kar karna
khyalon main bana lena kisi ka aks deeray se
chura kar rang ankhon se kisi ki ankh main bharna
ye namumkin c koshish hai muhabat soch kar karna
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
0344-5697812
kabhi main jo keh doo mohabbat hai tum se
to mujh ko khudara galat mat samajhna
ke meri zaroorat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai phoolon ki dali yeh bahein tumhari
hai khamosh jadoo nigahein tumhari
jo kantein ho sab apne daman mein rakh lon
sajaon main kalyoun se rahein tumhari
nazar se zamane ki khud ko bachana
kissi aur se dekho dil na lagana
ke meri amanat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai chehra tumhara ke din hai sunhera
aur us par yeh kali ghataon ka pehra.
gulabo sa nazuk mehekta badan hai
yeh lab hai tumhare ya khilta chaman hai.
bikheron jo zulfein to sharmaye badal
yeh zahid bhi dekhe to ho jaye pagal
oh pakiza murat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
jo ban ke kali muskurati hai aksar
shab - e - hejrr mein jo rulati hai aksar
jo lamho he lamho mein duniya badal de
jo shayer ko de jaye pehlo gazal ke
chupana jo chaha chpayee na jaye
bhulana jo chaha bhulayee na jaye
woh pehli muhabbat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
ek muddat hoi ek zamaanaa howa
Khaak-e-gulashan mein jab aashiyaanaa howa
zulf-e-baraham kii jab se shanaasaai hoi
zindagi ka chalan mujremaanaa howa
phool jalate rahe chaand hansata raha
aarazoo ka muqammal fasaanaa howa
daagh dil ke shehenshaah ke sikke bane
dil kaa muflis-kadaa jab Khazaanaa howa
ham jahaan bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aasataanaa howa
dekh mizaraab se Khuun Tapakane lagaa
saaz kaa taar marg-e-taraanaa howa
pahale hotii thii koi vafaa-paravari
ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa howa
ye jo diiwaane se do chaar nazar aate hain
in mein kuch saahib-e-asraar nazar aate hain
terii mahafil kaa bharam rakahate hain so jaate hain
varnaa ye log to bedaar nazar aate hain
duur tak koi sitaaraa hai na koi juganuu
mar-e-ummiid ke aasaar nazar aate hain
mere daaman mein sharaaron ke sivaa kuchh bhi nahi
aap phuulon ke Khariidaar nazar aate hain
kal jise chhuu nahi sakatii thii farishton kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
hashr mein kaun gavaahii merii degaa 'malik'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain
kisi roz tanha milo to batain
ye thora sa jeevan adora sa mosam
ye rangon ki chahat gulabon ki hasrat
ye roshan saweray ye madham anderay
kisi roz tanha milo to batain
khyalon ki rahain chamakti nighain
wafain nibhana adaain dikhana
kisi roz tanha milo to batain
ye ik silsala hai magar fasla hai
jawan hain umeedain uri hain jo neendain
kisi roz tanha milo to batain
agar jan jao to ehsas rakhna
isay raz rakhna
karo aik wada bana lo irada
mulaqat kar lo wohi bat kar lo
kisi roz tanha milo to batain
onche parbat neelay sagar
pagal barish tum or main
mehndi khushbo kajal anchal
band hatheli tum or main
door kehin barish main bheegi
pehli sarsoon tum or main
jab tu cheray zulfain meri
chandan khushbo tum or main
jangal main koi chota sa ghar
matti chulha tum or main
har rah har soo pehli khushbo
barish badal tum or main
kanda tera or sir mera
pagal c chup tum or main
kalay badal rim jim barish
neelay anchal tum or main
pas kisi koyal ki ku ku
gehra janga tum or main
onchay onchay ghane ganeray
bolte patay tum or main
Youn Bhi Krta Hai Koi Apny Chahny Walon Peh Sitam...?
Na Ishaaara, Na Kinaaara, Na Inaaayat, Na Salaaam...
http://img208.imageshack.us/img208/8218/image4all20070128140441gb9.gifhttp://img208.imageshack.us/img208/8218/image4all20070128140441gb9.gif
'Abi Is Taraf Na Nigah Kar,
Main GhazaL Ki PaLkein Sanwaar Loon,
Mera Lafz Lafz Ho Aaina,
Tujhe Aainey Me Utaar Loon!
Main Tamam din Ka Thaka Hua,
...Tu Tamam Shab Ka Jaga Hua,
Zara Theher Ja Isi Mor Par,
Tere Sath Shaam Guzaar Loon!
Agar Aasman Ki Numaishon Me
Mujhe b Izn-e-Qayam Ho,
To Main Motiyon Ki Dukaan Se,
Tera Chehra Or Nikhaar Loon!
Kuch Ajnabi Tere Sheher k,
Mere Paas Se u Guzar Gaye,
Unhe Dekh Kr Ye Tarap Hui,
Tera Naam Le k Pukaar Loon...'
tumain jab kabhi milain fursatain mere dill se bojh utar do ,
main bohat dinno se udas hon ,muje koi shaam udhar do .
muje apne roop ki dhoop do ,ke chamak sakain mere khal o khad ,
muje apne rang main rang do ,mere sare zang utar do ,
kisi aur ko mere hall se ,naa garaz hai koi naa wasta.
main bikhar gaya hon samait lo ,main bigarrh gaya hon sanwar do.
meri wehshiton ko barrha diya hia ,judaion k azab ne ,
mere dill peh hath rakho zara , meri dharrkano ko qarar do.
tumain subbah kaisi lagi kaho, meri khohawishon k diyar ki,
jo bhali lagi to yahain raho , isse chahton se nikhar do .
wahan ghar main kon hia muntazir k ho fiker dair sawair ki,
barri mukhtasar si raat hia issi chandni main guzar do .
koi bat karni hia chand se kisi shakhsar ki owt main
muje raste main yahain kahin kisi kunj gull mian utar do ...
Ye Jo Berukhi H Baja Nahi,
Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,
Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?
Tje Yad Krna Mzaaq Tha,
Tje Bhool Jana Azab H
Ye Saza H Jurm-e-Firaaq Ki,
Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?
Tere Sath H Jo Teri Ana,
Mere Sath Mera Naseeb H
Mje Tj Se Kesi Shikayten,
Tje Khud Pe Itna Ghuror Kya?
Ye Tmhara Chehra Kitab H,
Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
Zara Bat Sada Likha Kro,
Ye Muhawron Ki Satoor Kya?
JO AANA CHAHO TO HAZAAR RASTAY NA AANA CHAHO TO UZER HAZAARON
MIZAAJ BARHUM TAVEEL RASTA BARASTI BAARISH KHARAAB MOHSAM
yar bhi rait ki diwar samajhte haiN mujhe
mai samajhti thi mere yar samajhte haiN mujhe
maiN to yu chup hu keh andar se bohat khali hu
aur sab log pur israr samajhte hai mujhe
maiN badalte huwe halat mai dhal jati hu
dekhne wale adakar samajhte hai mujhe
wo jo os par hai on ke liye is paar hu mai
woh jo is paar hai os paar samajhte hai mujhe
naik logo mai mujhe naik gina jata hai
aur gunah gar gunah gar samajhte hai mujhe
Raah me mushkilein haail hai chalo pyaar karein
Pyaar karna barha mushkil hai chalo pyaar karein
Aql to ahle siyasat ke yahan girvi hai
Apna hamdard to ye dil hai chalo pyaar karein
Mazhabon jatiyon rangon me ulajhna kyon kar
Pyar insan ki manzil hai chalo pyaar karein
Chashme ulfat se zara dekhiye sab apne hein
Har taraf pyar ki mehfil hai chalo pyaar karein
Aao tufan se nafrat ke nikal kar aao
Samne pyar ka sahil hai chalo pyaar karein
Geet ulfat ke hein "sajid"to gajal ishq ki hai
Ab sukhan pyaar ko maail hai chalo pyaar karein
Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko,,
Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna
Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna
Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna
Pyaar Ke Deep Jalane wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hai
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Us Ke ISHQ Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.
Khusboo mayn ang ang basaney ki arzoo
tujh ko galey sey apney laganey ki arzoo
mayra to hey khayal banu hum safar tera
kya teri bhi hey saath nibhaney ki arzoo
mayn tera aaina hoon mayrey samney to aa
kis ko nahi hey naz uthaney ki arzoo
us ki yeh fikr k koi diya roshni na dey
mujh ko charagey shaam jalaney ki arzoo
dewaro dar nahi hain mayrey janta tha mayn
phir bhi rahi makaan sajaney ki arzoo
puri zaroor hogi yeh ek din deykhna
khizaa mayn phool khilaney ki arzoo
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao
Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein
.
.
Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein
.
.
Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein
.
.
Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein
.
.
Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein
.
.
Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein
.
.
Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein
kabhi main jo keh doo mohabbat hai tum se
to mujh ko khudara galat mat samajhna
ke meri zaroorat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai phoolon ki dali yeh bahein tumhari
hai khamosh jadoo nigahein tumhari
jo kantein ho sab apne daman mein rakh lon
sajaon main kalyoun se rahein tumhari
nazar se zamane ki khud ko bachana
kissi aur se dekho dil na lagana
ke meri amanat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
hai chehra tumhara ke din hai sunhera
aur us par yeh kali ghataon ka pehra.
gulabo sa nazuk mehekta badan hai
yeh lab hai tumhare ya khilta chaman hai.
bikheron jo zulfein to sharmaye badal
yeh zahid bhi dekhe to ho jaye pagal
oh pakiza murat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
jo ban ke kali muskurati hai aksar
shab - e - hejrr mein jo rulati hai aksar
jo lamho he lamho mein duniya badal de
jo shayer ko de jaye pehlo gazal ke
chupana jo chaha chpayee na jaye
bhulana jo chaha bhulayee na jaye
woh pehli muhabbat ho tum
bahut khubsurat ho tum.
Barey mukhtasar se huroof mai,mujhe gehri baat bata gaya
k wo khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle jaga gaya
kisi meherban ki duaon se ye safar tamam hua mera
jinhe rehbari ka ghurur tha unhe raston ne mita dia
Hume assman se gila nahi teri rehmatoon p yaqeen hai
jahan zindagi ne shikast di,kisi moajze ne bacha lia
Hume zinda rehne ka hosla teri arzoo ne ata kia
Bare gehrey zakham mile the hume,jinhe rafta rafte mita dia
iilllKhAmOsH_ZiNdGilllii- 0344-5697812
No comments:
Post a Comment