Saturday, May 14, 2011

khamosh 10













                                             .






dharkano ki uljano ko sanwara tha or bas
kagaz pe dil ka boj utara tha or bas

bas itna janta hun k aawaz us ki thi
itna pata hai us ne pukara tha or bas

dunia ki fikar kya thi zamane ka khof kya
hamko faqat khyal tumara tha or bas

chahton k jahan main kuch faida ho na ho magar
chahaton k janoon main sirf khasara tha or bas

ogo ne use meri muhabat samj liya
wo muj ko meri jan se pyara tha or bas





bas ik choti c han kar do
hamaray nam istrha sara jahan kar do

wo muhabtain jo tumaray dil main hain
un ko zuban par lao or biyaan kar do

aaj bas aap kaho or kehte hi jaooo
ham bas sunain aisa be-zubaan kar do

hoi purani dastan heer ranja ki
tarekh muhabat ki phir se jawan kar do

aajaoo k aisay toot k chahoon tumain
hamrai muhabat ko muhabt ka nisha kar do

apne dil main is tarha chupa lo muj ko
rahon hamesha is main aisa mera makan kar do











giraon palkain or sab se chupa lon us ko
apni ankhon main is tara se basa lon us ko

wo paglon ki tara khud ko muj se manga
kuch is tara se usi hi se chura lon us ko

wo ibadat ki tara muqadas hai mere liye
kabi ankhon se kabi dil se laga lon us ko








us mor se shuru karain aa phir se zindagi

hr shay jahan haseen thi or ham tum se ajnabiii




ReMeMbEr Me iN yoUr PrAyErZ

(¨`•.•´¨) Always
`•.¸(¨`•.•´¨) Keep
(¨`•.•´¨)¸.•´ Smiling!!
`•.¸.•´
Zahid Malik´¨)
¸ •´ ¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•* ???...??


udas logo se pyar karna koi to seekhay
safaid lamhon main rang bharna koi to seekhay

koi to aaye khizan main patay ugane wala
gulon ki khushbo ko qaid karna koi to seekhay

koi dikhaye muhabton ka saraab muj ko
meri nigahon se bat karna koi to seekhay

koi aaye nai rutoon ka pyam le kar
anderi ratoon main chand bannana koi to seekhay

koi pyamber koi iamam_E_zamaan hi aaye
aseer zehno main soch bharna koi to seekhay







 
 heartbeat 

No comments:

Post a Comment