Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay Jo waqt guzar jayee tho wapis nahi aata Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay hum us kee justajoo main hua khud say be-ganay Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay Gham-e-
Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna Raah me mushkilein haail hai chalo pyaar karein Pyaar karna barha mushkil hai chalo pyaar karein Aql to ahle siyasat ke yahan girvi hai Apna hamdard to ye dil hai chalo pyaar karein Mazhabon jatiyon rangon me ulajhna kyon kar Pyar insan ki manzil hai chalo pyaar karein Chashme ulfat se zara dekhiye sab apne hein Har taraf pyar ki mehfil hai chalo pyaar karein Aao tufan se nafrat ke nikal kar aao Samne pyar ka sahil hai chalo pyaar karein Geet ulfat ke hein "sajid"to gajal ishq ki hai Ab sukhan pyaar ko maail hai chalo pyaar karein |
Friday, February 18, 2011
iiikhamoshiii
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment