Buland kirdar si aankhian
wo khush guftaar si aankhain
mohabbat ki negehbaaN hain
dar o dewaar si aankhain
nameeda sabnami gulpoosh
gul o gulzar si aankhain
dehekti dhoop main thandak
ghany ashjar si aankhain
khazina hian wo yadoon ka
haseen pandar si aankhain
hikayat hain khmoshi ki
wohi iqrar si aankhain
ghata palkoon pe rakhti hain
abad imtar si aankhain
kamal e husn o raanai
sukhan, ashaar si aankhain
kitab e drd k oraq
haziN afgar si aankhain
khamooshi khush kalami si
saba izhar si aankhin
hain Aashi hast ka sehra
meri sansar si aankhain
kisi roz tanha milo to batain
ye thora sa jeevan adora sa mosam
ye rangon ki chahat gulabon ki hasrat
ye roshan saweray ye madham anderay
kisi roz tanha milo to batain
khyalon ki rahain chamakti nighain
wafain nibhana adaain dikhana
kisi roz tanha milo to batain
ye ik silsala hai magar fasla hai
jawan hain umeedain uri hain jo neendain
kisi roz tanha milo to batain
agar jan jao to ehsas rakhna
isay raz rakhna
karo aik wada bana lo irada
mulaqat kar lo wohi bat kar lo
kisi roz tanha milo to batain